123

RasoolAllah (ﷺ) ne Aaurato ke Eidgah Jane ke baare mein Kya farmaya hai?

A

Jane Ka Hukum Diya Hai

B

Mana farmaya hai

C

Khamoshi Ikhtiyar Ki Hai

D

Sahi Jawab Ka Intezaar
5/5

Related Quizzes

131

Wo Kounsa Amal hai jo darje mein Namaz Roze aur Zakat se bhi badhkar hain?

  • Nafeel Namazo ki Qasrat
  • Sadqa dena
  • Jhagadne walo mein sulah kara dena
89

Wo Kounsa Amal hai jo Halal tou hai lekin Allah Ta’ala ko sakht Napasand hai?

  • Sagayi
  • Talaq
  • Walima
93

Wo Kaunsa Zikr Hain Jisko 100 Baar Padhne Se 1000 Nekiyan Likh Di Jati Hain Aur 1000 Gunah Mita Diye Jate Hain?

  • SubhanAllah
  • Alahmdulillah
  • Astagfirullah
58

Kis Alfaaz ke bhool se Naa kehne ke Sabab Aap (ﷺ) par ek arse tak wahi ka silsila band raha?

  • Subhan’Allah
  • In’sha’Allah
  • Alahamdulillah
126

Wo Kaunse Log hai Jin ke liye RasoolAllah (ﷺ) 3 Martaba Bakhshish ki Dua karte the?

  • Pehli Saf Walo ke Liye
  • Nafil Roze Rakhne walo ke liye
  • Juma ke Din Masjid jaldi aane walo ke liye
87

(Main Toh Apni Pareshaniyon aur Ranj ki Fariyaad Allah hi se kar raha hoon) Ye Alfaaz kis Nabi ne Apne Beton se Kaha tha?

  • Hazrat Ibrahim (A.S)
  • Hazrat Ishaq (A.S)
  • Hazrat Yaqoob (A.S)
81

Inmein se wo kaun hai jisko Aadhi raat ibadat karne ka Sawab milta hai?

  • Raat ko 10 aayat padh kar sone wala
  • Miskeen ki madad karne wala
  • Raat ko Wuzu karke Sone wala
129

Jo shakhs Raat ko Tahajjud padhne ke liye bedaar nahi hosake to wo kaunsa amal kare?

  • Kasrat se Allah ka Zikr kare
  • Din mein 12 rakat sunnat padhe
  • Witr ke baad 2 rakat adda kare
130

Allah Subhanahu Qayamat ke din Inme se kis Ka chehra dozakh se Mehfuz rakhega?

  • Jiski Zuban se dusra Muslman Mehfuz rahe
  • Muslman ko kafan dene wale
  • Musalman ki Izzat ki hifazat karnewala
95

Wo Kaunsa Amal hain jiske Karne se Insan ko Allah Taala 100 Saal ke Barabar Jahannum se Door kar dega?

  • Walidain ki Khidmat Karna
  • Yateem Ki Kifalat Karna
  • Allah ki Raah me Roza Rakhna
92

Duniya me Jitne Anbiya (As) Aaye Tauheed ki Dawat Dene ke liye Unme se Kis Nabi ki Qaum par Azaab Aakar wapis chala gaya?

  • Qaum-e-Younus (As)
  • Qaum-e-Ibarahim (As)
  • Qaum-e-Looth (As)
101

Quran-e-Kareem me wo Kaunsi Surah hain Jismein Ek hi Aayat-e-Kareema 31 Times (Baar) Aayi hain?

  • Surat Ul Waqia
  • Surah Rahman
  • Surat Un Naba
96

Quran-e-Kareem ki Sab se Badi Aayat Kis Surah mein hain?

  • Surah Aal Imran
  • Surah Nisaa
  • Surah Younus
88

Insan ke Jism me Wo Kaunsi Cheez hai Jiske Accha Rehne par Saara Jism Accha Rehta hai aur Jiske Kharab hone par saara Jism Kharab hojata hai?

  • Zuban
  • Dil
  • Dimag
59

Quran ke Nuzul ka asal Maksad kya hai ?

  • Khair-o-Barqat
  • Hidayat
  • Esaale Sawab
133

Wo kya hain jo kuch log ussey durust karenge jaise teer ko durust kiya jata hain kuyke wo iski jaza duniya mein hi chahenge?

  • Namaz
  • Zikr
  • Aamal
85

Har Ummat ki Aazmaish kisi Na Kisi Cheez Mein Hain,
Ummat e Mohammadiya (ﷺ) ki Aazmaish kis Cheez me hai?

  • Bimari
  • Maal
  • Ilm
100

Kaunsi Cheez Jannat me Jaane ki Zyada Wajah Banegi?

  • Raaste se Takleef deh cheez hatana
  • Nafil Roze Rakhna
  • Aulad ki Tarbiyat Karna
64

Quran-e-Majid ke mutabik Sabse bada Zulm kya hai?

  • Zinaa
  • Shirk
  • Chori
94

Qayamat ki Sabse Pehli aur Badi Nishani kya hai?

  • Dajjal ka Aana
  • Zina Khule Aam Hona
  • Aurat Ka Khushbo Laga Kar Baher Nikalna
82

Inmein se kaunse Azkar ko Kalma e Shukr kaha gaya hai?

  • SubhanAllah
  • Alhamdulillah
  • Huwallahu Ahad
84

Ahle Jannat Ki Jannat Mein 120 Safein Hogi Unmein se Ummat e Mohammad (ﷺ) ki Kitni Safein Hogi?

  • 50 Safein
  • 40 Safein
  • 100 Safein
135

Quran ke kis Surah mein Allah ne farmaya ke Tum Sab Allah ke Mohtaj aur Faqeer ho?

  • Surah Baqrah
  • Surah Fatir
  • Surah Maidah
57

In me se kounsa Amal Riyaa yaani Shirk e Asgar hai?

  • Acche Kapde Pehan’na
  • Acha Khana Khana
  • Haaji ka Laqab Lagana
121

Allah ne RasoolAllah (ﷺ) se Shab-e-Qadr ke Maloom hone ka Ilm kis Wajah se Utha liya?

  • Take Log Shabe Qadr Ko Talash Kare
  • 2 Musalmano ke Aapasi Jhagde ki Wajah Se
  • RasoolAllah (ﷺ) Khud Bhul Gaye
80

Qayamat ke din sabse pahle jo muamla hazir kiya jayega wo kin ka hoga?

  • Shohar aur Biwi
  • Baap aur Bete
  • Padosi
60

Quran ke mutabik In me se kis cheez ke bagair Aakhirat ki Kamiyabi mumkin nahi?

  • Taqleed (Blind Belief)
  • Iman aur Nek Amal
  • Dusro ki Nekiya
121

Qayamat ke Din Ganje Sanp ka Tauq kis Shakh ko Pehnaya Jayega ?

  • Jo Zameen Par Qabza Kare
  • Jo Zakat ada Na Kare
  • Jo Qarz Pura ada na kare
98

Aurat Apne Rabb ka Haq ada nahi kar sakti jab tak wo kisi aur ka Haq ada na kar le, par kiska?

  • Walidain Ka
  • Shohar Ka
  • Apne Bhai ka
138

Wo Kounsa Amal hain jisko Dajjal se bhi Zyada Khatarnaak kaha gaya hain?

  • Maal hote huye bhi Zakat Na Dena
  • Amanat mein Khayanat Karna
  • Kisi ka Aib Zahir karna

RasoolAllah (ﷺ) ne Aaurato ke Eidgah Jane ke baare mein Kya farmaya hai?

RasoolAllah (ﷺ) ne Aaurato ke Eidgah Jane ke baare mein Kya farmaya hai?

Sahih Jawab hai: option ( A )

Jane Ka Hukum Diya Hai

Daleel :

Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

۞ Hadees: Auraton Ko Eidgah Jane Aur Hayez Wali Auratein (menstruating women) Ko Eidgah Jakar Dua Me Shamil Hone Ka Hukum

Urdu Translation :

Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu ‘Anha} se rivayat hai ke Rasoollallah (ﷺ) ne Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ke din hamein aur pardah nasheen Aaurton ko nikalne ka hukum diya, aur hayezah Auratein ( menstruating women ) namaaz se alhedah rah kar bhalai aur musalmano ki dua me hazir ho, maine arz kiya ya RasoollAllah (ﷺ)! hum me se jiske pass chadar na ho to? Aapne (ﷺ) ne farmaya chahiye ki iski bahan apni chadar isko pahna de,

📕 Sahih-Muslim, Vol-no: 02, Book: 04, Hadees-no: 2056

Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu ‘Anha} se rivayat hai ke humein Rasoollallah (ﷺ) ne hukum diya ke kawari, jawaan, aur parde waliyan Eidain ki namaaz ke liye jaye aur hayezah auraton ( menstruating women ) ko hukum diya ke wo musalmano ki Eidgah se zara door rahe.

📕 Sahih-Muslim, Vol-no: 02, Book: 04, Hadees-no: 2054

Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu ‘Anha} ne farmaya ke Nabi (ﷺ) je zamane me humein Eid ke din Eidgah me jane ka hukum tha, kawari ladkiya aur hayezah auratein (menstruating women) bhi parda me bahar aati thi, ye sab mardon ke piche pardah me rahtein, jab mard takbir kahte to ye bhi kartein aur jab wo dua karte to ye bhi kartein, is din ki barkat aur pakizgi hansil karne ki umeed rakhtein.

📕 Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 13, Hadees-no: 971

Hazrat-Umme-Atiyya {Radi Allahu ‘Anha} ne farmaya ke humein hukum tha ke hum jawan pardah wali auraton ko Eidgah ke liye bahar nikale, ( aur Hafsa Radi Allahu ‘Anhu ki riwayat me is qadar jiyada hai) ke jawaan aur pardah waliyan zarur (Eidgah jaye) aur hayezah auratein (menstruating women) namaaz ki jagha se alag rahe.

📕 Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 13, Hadees-no: 974

© Ummat-e-Nabi.com