57

In me se kounsa Amal Riyaa yaani Shirk e Asgar hai?

A

Acche Kapde Pehan’na

B

Acha Khana Khana

C

Haaji ka Laqab Lagana

D

Sahih Jawab Ka Intezar
5/5

Related Quizzes

63

Aahadees ke mutabik Sabse Afzal Dua kounsi hai?

  • La illallah illallah
  • SubhanAllah
  • Alhamdulillah
134

in me se Kiske Zariye Allah Subhanahu kisi Qaum ko Bulandi ata ya Zillat deta hain?

  • Namaz
  • Roza
  • Quraan
121

Allah ne RasoolAllah (ﷺ) se Shab-e-Qadr ke Maloom hone ka Ilm kis Wajah se Utha liya?

  • Take Log Shabe Qadr Ko Talash Kare
  • 2 Musalmano ke Aapasi Jhagde ki Wajah Se
  • RasoolAllah (ﷺ) Khud Bhul Gaye
103

Qayamat ke Din Momin ka Meezan (Tarazu ) me Sab se Wazandar Amal Kaunsa Hoga?

  • Doosro ki Zaroorat Poori Karna
  • Namaz-e Tahajjud
  • Allah ke liye Ek Doosre se Mohabbat Karna
80

Qayamat ke din sabse pahle jo muamla hazir kiya jayega wo kin ka hoga?

  • Shohar aur Biwi
  • Baap aur Bete
  • Padosi
99

Wo Kaunsi Cheez hain Jo Aadmi ko Qabr mein aur Oont (Camel) ko Handi mein Utar deti hain?

  • Zinaa
  • Takabbur
  • Sharabnoshi
90

Allah ki Raah se Rokne Wale ko Quran me kya kaha Gaya hai?

  • Nafarmaan
  • Gunehgaar
  • Qayamat ke din ka Munqeer
61

Wo koun log hai Jo Nabi ﷺ ke Zikr pe Aapke Naam ke sath Durood na bhi padhe tou Muaf hai?

  • Qawwal
  • Naatkhwan
  • Shayar
125

Wo Kaunsi Neki Hain jo Insan ko Behayai aur Burai se Rokti hain?

  • Sila Rehmi
  • Namaz Aada Karna
  • Khairaat Karna
83

Inmein se Shaitaan kis ke Kaan me Peshaab kar deta hai?

  • Jo Salam ka Jawab na de
  • Jo Sadqa na de
  • Jiski Fazar Choot Jaye
124

Wo Kaunsi Do Namazein Hain Jo Munafiqo Par Zyada Bhaari Hain?

  • Fajr aur Zohar
  • Fajr aur Asr
  • Fajr aur Maghrib
62

Wo kounsi Surah hai jo Musalmano ko Dajjal ke Fitne se bachane ke liye kaafi hai?

  • Surah Baqrah [2]
  • Surah Kahf [18]
  • Surah Yaseen [36]
96

Quran-e-Kareem ki Sab se Badi Aayat Kis Surah mein hain?

  • Surah Aal Imran
  • Surah Nisaa
  • Surah Younus
130

Allah Subhanahu Qayamat ke din Inme se kis Ka chehra dozakh se Mehfuz rakhega?

  • Jiski Zuban se dusra Muslman Mehfuz rahe
  • Muslman ko kafan dene wale
  • Musalman ki Izzat ki hifazat karnewala
81

Inmein se wo kaun hai jisko Aadhi raat ibadat karne ka Sawab milta hai?

  • Raat ko 10 aayat padh kar sone wala
  • Miskeen ki madad karne wala
  • Raat ko Wuzu karke Sone wala
121

Qayamat ke Din Ganje Sanp ka Tauq kis Shakh ko Pehnaya Jayega ?

  • Jo Zameen Par Qabza Kare
  • Jo Zakat ada Na Kare
  • Jo Qarz Pura ada na kare
86

Wo Kaunsi Khatoon Hain Jisko Allah Taala Ne Salaam Bheja Hain?

  • Hazrat Khadija (R.A)
  • Hazrat Ayesha (R.A)
  • Hazrat Sumaiyya (R.A)
105

Wo Kaunsi Surah hain Jisko Sote Waqt Padhne se Insan Shirk Jaise Khatarnaak Fitne se Mehfooz Hojata Hain?

  • Surah Kafiroon
  • Surah Falaq
  • Surah Iqlaas
102

Kiski Misaal Rassi se Bandhe Hue Oont ke Malik ke Jaisi hain agar Wo Iski Nigrani Rakhega Toh Usey Rok Sakega Warna Rassi Tudwa Kar Bhaag Jayega?

  • Neik Biwi
  • Amanatdar Tajir
  • Duniya Se Mohabbat Rakhne Wala
133

Wo kya hain jo kuch log ussey durust karenge jaise teer ko durust kiya jata hain kuyke wo iski jaza duniya mein hi chahenge?

  • Namaz
  • Zikr
  • Aamal
89

Wo Kounsa Amal hai jo Halal tou hai lekin Allah Ta’ala ko sakht Napasand hai?

  • Sagayi
  • Talaq
  • Walima
132

Kounsa azkar kehne se ye farmaya gaya hain ke bande ko jo diya gaya hain wo us cheez se Afzal hai jo usne liya hain?

  • SubhanAllah
  • Hada min Fadli Rabbi
  • Alhamdulillah
65

Islam me Shog (Mout ke Gham) ki Muddat kitni hai?

  • 3 Din
  • 30 Din
  • 40 Din
136

Quran mein kis Cheez ki Misal dekar farmaya gaya ki Allah ke Siwa Jise bhi Pukara Jata hai wo KIS CHEEZ KE MALIK nahi hai?

  • Makkhi
  • Khajoor ki Ghutli ke Chilke
  • Zarraat
79

9 Zil Hajj ke Fazr se 13 Zil Hajj ki Asr tak ke arse ko kya hai?

  • Ayyam e Zil Hijjah
  • Ayyam e Beez
  • Ayyam e Tashreeq
128

Jab Azan suno aur ye alfaz aaye “Hayya Al-As-Salah” to in me se kya kehna chahiye?

  • Allah hu Akbar
  • La ilaha illAllah
  • Alhumdullilah Lakal Hamd
85

Har Ummat ki Aazmaish kisi Na Kisi Cheez Mein Hain,
Ummat e Mohammadiya (ﷺ) ki Aazmaish kis Cheez me hai?

  • Bimari
  • Maal
  • Ilm
98

Aurat Apne Rabb ka Haq ada nahi kar sakti jab tak wo kisi aur ka Haq ada na kar le, par kiska?

  • Walidain Ka
  • Shohar Ka
  • Apne Bhai ka
104

Wo Kaunsa Aasan Amal hain Jisko Karne se Jannat ke 8 Darwaze khol diye jate hain Insan jis Darwaze se Chahe Dakhil Hojaye?

  • Miswaak Karna
  • Wazu Karna aur Wazu ke Baad ki Dua Padhna
  • Raste se Takleef deh Cheeze Hatana
92

Duniya me Jitne Anbiya (As) Aaye Tauheed ki Dawat Dene ke liye Unme se Kis Nabi ki Qaum par Azaab Aakar wapis chala gaya?

  • Qaum-e-Younus (As)
  • Qaum-e-Ibarahim (As)
  • Qaum-e-Looth (As)

In me se kounsa Amal Riyaa yaani Shirk e Asgar hai?

In me se kounsa Amal Riyaa yaani Shirk e Asgar hai?
Sahih Jawab hai: option C). Haaji ka Laqab Lagana

Apne Naam ke aagey Haaji ka laqab lagana Riyaa hai jo ke Shirk e Asgar me shumatr hota hai.

Daleel :

Hajj ek makhsus ibadat hai jise banda apne Rab ki raza ke liye anjam deta hai, lekin agar koi is niyat se hajj kare ke log mujhe Haaji sahab ke naam se pehchane tou ye dikhawa hai yaani Haaji ka Laqab lagana Riya (Showing off) hai aur Riyaa ke baare me RasoolAllah (ﷺ) ne Shirk-e-Asgar kaha hai.

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmate hai:

“Riyaa ka adna Martaba bhi Shirk hai.”

📕 Islami Akhlaq-o-Aadab, H#7

 

 

Ek aur riwayat me Aap (ﷺ) ne farmaya:

“(Aye Emaanwalo) Tumhare barey me Jis cheez se main darta hu wah Shirk-e-Asgar hai.”
Sahaba ne pucha: “Ya Rasool’Allah ! yeh Shirk-e-Asgar kya cheez hai?”
Aap(ﷺ) ne farmaya: Riyaa ! Yaani Dikhawe ke liye kaam karna. 

📕 Ahmed

 

Tou Maloom hua ke logo ko dikhane aur unse tareef ki ummid me koi aisa amal karna jo khalis Allah ki raza ke liye karna chahiye wo Riya hai aur Riya Shirk-e-Azgar hai.

*Allah Reham Karey ! Aaj Humari Namaze, Humare Roze aur Zakaat se Jyada Humaare Hajj Riyaakari ke Markaz ban chukey hai. Aaj Humare Hajj ke kya haal hai Hum apne baaz Haaji bhaiyon ke Naam ke aagey dekh hi rahe hai.

Jab ki Allah ke Rasool (ﷺ) ne Riyaa se apne Rab ki itni panah mangi ke:
Aap Dua karte they aur ek Dua khaas jab Aap Hajj ko gaye tou Aapne ki aur farmaya “Allahumma Hajjatan La Riya’a Fiha Wa La Sum’a.” Aye Allah humse aisa Hajj le ke iss Hajj ko humare liye Riyaa aur dikhawe se paak kar.

Lihaja Hume bhi chahiye ke Dikhawe ke Amaal se parhez karey aur Apne Amaal ko Khaalis Allah ki raza ke liye anjam de aur Riyaa (Showing Off) ke Fitno se paak rakhne ki koshish kare.

♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
– Allah Ta’ala Hume Kehene Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De.
– Humari Tamam Ibadato Ko Riyaakari Ke Fitno Se Paak Rakhey ,..
– Jab Tak Hume Zinda Rakhe , Islam aur Imaan par Zinda Rakhey ,..
– Khatma Humara Imaan par ho ,.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
( Ameen ! Allahumma Ameen !!!)

© Ummat-e-Nabi.com