59

Quran ke Nuzul ka asal Maksad kya hai ?

A

Khair-o-Barqat

B

Hidayat

C

Esaale Sawab

D

Sahih Jawab Ka Intezar
5/5

Related Quizzes

61

Wo koun log hai Jo Nabi ﷺ ke Zikr pe Aapke Naam ke sath Durood na bhi padhe tou Muaf hai?

  • Qawwal
  • Naatkhwan
  • Shayar
121

Allah ne RasoolAllah (ﷺ) se Shab-e-Qadr ke Maloom hone ka Ilm kis Wajah se Utha liya?

  • Take Log Shabe Qadr Ko Talash Kare
  • 2 Musalmano ke Aapasi Jhagde ki Wajah Se
  • RasoolAllah (ﷺ) Khud Bhul Gaye
128

Jab Azan suno aur ye alfaz aaye “Hayya Al-As-Salah” to in me se kya kehna chahiye?

  • Allah hu Akbar
  • La ilaha illAllah
  • Alhumdullilah Lakal Hamd
90

Allah ki Raah se Rokne Wale ko Quran me kya kaha Gaya hai?

  • Nafarmaan
  • Gunehgaar
  • Qayamat ke din ka Munqeer
82

Inmein se kaunse Azkar ko Kalma e Shukr kaha gaya hai?

  • SubhanAllah
  • Alhamdulillah
  • Huwallahu Ahad
83

Inmein se Shaitaan kis ke Kaan me Peshaab kar deta hai?

  • Jo Salam ka Jawab na de
  • Jo Sadqa na de
  • Jiski Fazar Choot Jaye
86

Wo Kaunsi Khatoon Hain Jisko Allah Taala Ne Salaam Bheja Hain?

  • Hazrat Khadija (R.A)
  • Hazrat Ayesha (R.A)
  • Hazrat Sumaiyya (R.A)
125

Wo Kaunsi Neki Hain jo Insan ko Behayai aur Burai se Rokti hain?

  • Sila Rehmi
  • Namaz Aada Karna
  • Khairaat Karna
81

Inmein se wo kaun hai jisko Aadhi raat ibadat karne ka Sawab milta hai?

  • Raat ko 10 aayat padh kar sone wala
  • Miskeen ki madad karne wala
  • Raat ko Wuzu karke Sone wala
97

Wo Kaun hain jo Apne pait me Ghataghat Jahannum ki Aag bhar rahe hain?

  • Sharab Peene Wala
  • Ghar me Ek Dusre ko Ladane Wale
  • Makeup Karne Wali Aurtein
60

Quran ke mutabik In me se kis cheez ke bagair Aakhirat ki Kamiyabi mumkin nahi?

  • Taqleed (Blind Belief)
  • Iman aur Nek Amal
  • Dusro ki Nekiya
84

Ahle Jannat Ki Jannat Mein 120 Safein Hogi Unmein se Ummat e Mohammad (ﷺ) ki Kitni Safein Hogi?

  • 50 Safein
  • 40 Safein
  • 100 Safein
87

(Main Toh Apni Pareshaniyon aur Ranj ki Fariyaad Allah hi se kar raha hoon) Ye Alfaaz kis Nabi ne Apne Beton se Kaha tha?

  • Hazrat Ibrahim (A.S)
  • Hazrat Ishaq (A.S)
  • Hazrat Yaqoob (A.S)
133

Wo kya hain jo kuch log ussey durust karenge jaise teer ko durust kiya jata hain kuyke wo iski jaza duniya mein hi chahenge?

  • Namaz
  • Zikr
  • Aamal
127

Kaunse shakhs ke liye irshad farmaya gaya hai ke wo Allah Subhanahu se bahut door hain?

  • Na shukri karne wale
  • Bahut ziyada behas karne wale
  • Jiska Dil Sakht ho
94

Qayamat ki Sabse Pehli aur Badi Nishani kya hai?

  • Dajjal ka Aana
  • Zina Khule Aam Hona
  • Aurat Ka Khushbo Laga Kar Baher Nikalna
95

Wo Kaunsa Amal hain jiske Karne se Insan ko Allah Taala 100 Saal ke Barabar Jahannum se Door kar dega?

  • Walidain ki Khidmat Karna
  • Yateem Ki Kifalat Karna
  • Allah ki Raah me Roza Rakhna
57

In me se kounsa Amal Riyaa yaani Shirk e Asgar hai?

  • Acche Kapde Pehan’na
  • Acha Khana Khana
  • Haaji ka Laqab Lagana
100

Kaunsi Cheez Jannat me Jaane ki Zyada Wajah Banegi?

  • Raaste se Takleef deh cheez hatana
  • Nafil Roze Rakhna
  • Aulad ki Tarbiyat Karna
58

Kis Alfaaz ke bhool se Naa kehne ke Sabab Aap (ﷺ) par ek arse tak wahi ka silsila band raha?

  • Subhan’Allah
  • In’sha’Allah
  • Alahamdulillah
138

Wo Kounsa Amal hain jisko Dajjal se bhi Zyada Khatarnaak kaha gaya hain?

  • Maal hote huye bhi Zakat Na Dena
  • Amanat mein Khayanat Karna
  • Kisi ka Aib Zahir karna
98

Aurat Apne Rabb ka Haq ada nahi kar sakti jab tak wo kisi aur ka Haq ada na kar le, par kiska?

  • Walidain Ka
  • Shohar Ka
  • Apne Bhai ka
136

Quran mein kis Cheez ki Misal dekar farmaya gaya ki Allah ke Siwa Jise bhi Pukara Jata hai wo KIS CHEEZ KE MALIK nahi hai?

  • Makkhi
  • Khajoor ki Ghutli ke Chilke
  • Zarraat
137

Inmein se Jannat ke beech ka darwaza kise kaha gaya hai?

  • Maa
  • Baap
  • Bada Bhai
129

Jo shakhs Raat ko Tahajjud padhne ke liye bedaar nahi hosake to wo kaunsa amal kare?

  • Kasrat se Allah ka Zikr kare
  • Din mein 12 rakat sunnat padhe
  • Witr ke baad 2 rakat adda kare
88

Insan ke Jism me Wo Kaunsi Cheez hai Jiske Accha Rehne par Saara Jism Accha Rehta hai aur Jiske Kharab hone par saara Jism Kharab hojata hai?

  • Zuban
  • Dil
  • Dimag
92

Duniya me Jitne Anbiya (As) Aaye Tauheed ki Dawat Dene ke liye Unme se Kis Nabi ki Qaum par Azaab Aakar wapis chala gaya?

  • Qaum-e-Younus (As)
  • Qaum-e-Ibarahim (As)
  • Qaum-e-Looth (As)
102

Kiski Misaal Rassi se Bandhe Hue Oont ke Malik ke Jaisi hain agar Wo Iski Nigrani Rakhega Toh Usey Rok Sakega Warna Rassi Tudwa Kar Bhaag Jayega?

  • Neik Biwi
  • Amanatdar Tajir
  • Duniya Se Mohabbat Rakhne Wala
131

Wo Kounsa Amal hai jo darje mein Namaz Roze aur Zakat se bhi badhkar hain?

  • Nafeel Namazo ki Qasrat
  • Sadqa dena
  • Jhagadne walo mein sulah kara dena
93

Wo Kaunsa Zikr Hain Jisko 100 Baar Padhne Se 1000 Nekiyan Likh Di Jati Hain Aur 1000 Gunah Mita Diye Jate Hain?

  • SubhanAllah
  • Alahmdulillah
  • Astagfirullah

Quran ke Nuzul ka asal Maksad kya hai ?

Quran ke Nuzul ka asal Maksad kya hai ?
Sahih Jawab hai: option B). Hidayat

Quraan ke Nuzool ka Asal maksad Hidayat hai.

Daleel :

۞ Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai:

❝ Aye Nabi (ﷺ) ! Ye Mubarak Kitab(Quraan) hai Jisey humne Aapki taraf iss liye naazil kiya ke log iski Aayto par gaur kare aur Aqalmand is se Naseehat haasil kare. ❞

📕 Surah Saad: 38:29

Tou Quran ka Asal Maksad hai Insaniyat ki Hidayat!. Jabki iski Tilawat ka Sawab tou bonus tha humare liye, lekin humne Bonus ke lalach me is se Hidayat hasil karna chorr diya aur fir Jahalat hum par taari hui, ye is liye hua kyunki humne iski Ahmiyat aur Fazilat nahi jaani.

Jaise missal ke tour par humari Musalman behne Sawab ke liye Quran Arbi me padhti rehti hai aur Padhte hue Surah Nisa ki aayat 3 aati hai “jaha Allah Ta’ala farmata hai ke Aye Musalman Mard Aadmi tum 2,3,4 Aurato se Nikah kar sakte ho.”

Ab inhone padha Arbi me aur Allah se Dua ki ke “Aye Allah har Harf ke badle 10-10 neki hona.” Lekin jab inka Shohar kabhi dusra Nikah karne gaya tou “kaisa karta dekhti mai.” MashaAllah
Arey lekin Quraan me hukm hai na !
“Honga Quran me lekin mujhe kya ?”

SubhanAllah! Andaza bhi hai kya Sulooq karte hai hum Allah ki nazil karda hidayat ka. Zindagi bhar hum isey Mehaj Sawab ke Lalach me hi padhte hai lekin kabhi iske Maney Mafhoom par Gouro Fikr nahi karte, jabki Sawab tou bonus hai wo tou mil jayega in’sha’Allah !!!

Alahmdulillah! Quran ki Tilawat ki faizlat apni jagah hai, Lekin Quran ka Asal maksad Insaniyat ki Hidayat hai aur fir bhi hum isey mahaz Sawab ke liye padhtey hai, yahi wajah hai ke hum Allah ki hidayat se Mehrum reh gaye, jiska fayda Ummat ke Baaz Sharr Pasand logone khub uthaya, Humey Maslaki aur Firqawariyat me Ulzaya, Quraan se hidayat hasil karne ke bajaye isey Murdo par bakhswaya, beshumar biddate ijad kar inhone Apni batil Dukane khub chalayi lekin kabhi hume Quran ke Asal maksad se Taruf nahi karwaya, Siway Ulemaye haq ke.

*Lihaja mere Azeezo! Aaj agar hume Zillat aur Ruzwayi se bahar nikalna hai tou hume chahiye ke hum Quraane kareem ki hidayat ko samjhey, iske Maaney Mafhoom par Gour kare aur jitna ho sakey ispar khud bhi amal kare aur dusro ko bhi iski dawat dey.

♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua Hai Ke –
# Allah Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Aml Ki Taufik Dey ,..
# Hum Tamam Ke Liye Quraane Majid Ko Padhna , Samjhna Aur Uspar Amal Karna Aasan Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

© Ummat-e-Nabi.com