60

Quran ke mutabik In me se kis cheez ke bagair Aakhirat ki Kamiyabi mumkin nahi?

A

Taqleed (Blind Belief)

B

Iman aur Nek Amal

C

Dusro ki Nekiya

D

Sahih Jawab Ka Intezar
5/5

Related Quizzes

128

Jab Azan suno aur ye alfaz aaye “Hayya Al-As-Salah” to in me se kya kehna chahiye?

  • Allah hu Akbar
  • La ilaha illAllah
  • Alhumdullilah Lakal Hamd
135

Quran ke kis Surah mein Allah ne farmaya ke Tum Sab Allah ke Mohtaj aur Faqeer ho?

  • Surah Baqrah
  • Surah Fatir
  • Surah Maidah
91

Meraj Ke Mauqe par Nabi (ﷺ) ka Guzar Aise Logo ke paas se hua Jinke Nakhun Tambe ke they aur wo Apne Nakhuno se Apne Muh aur Seene ko Noch rahe they ye Log koun they?

  • Sharab peene wale
  • Zina Karne wale
  • Sood khane wale
61

Wo koun log hai Jo Nabi ﷺ ke Zikr pe Aapke Naam ke sath Durood na bhi padhe tou Muaf hai?

  • Qawwal
  • Naatkhwan
  • Shayar
127

Kaunse shakhs ke liye irshad farmaya gaya hai ke wo Allah Subhanahu se bahut door hain?

  • Na shukri karne wale
  • Bahut ziyada behas karne wale
  • Jiska Dil Sakht ho
103

Qayamat ke Din Momin ka Meezan (Tarazu ) me Sab se Wazandar Amal Kaunsa Hoga?

  • Doosro ki Zaroorat Poori Karna
  • Namaz-e Tahajjud
  • Allah ke liye Ek Doosre se Mohabbat Karna
57

In me se kounsa Amal Riyaa yaani Shirk e Asgar hai?

  • Acche Kapde Pehan’na
  • Acha Khana Khana
  • Haaji ka Laqab Lagana
126

Wo Kaunse Log hai Jin ke liye RasoolAllah (ﷺ) 3 Martaba Bakhshish ki Dua karte the?

  • Pehli Saf Walo ke Liye
  • Nafil Roze Rakhne walo ke liye
  • Juma ke Din Masjid jaldi aane walo ke liye
101

Quran-e-Kareem me wo Kaunsi Surah hain Jismein Ek hi Aayat-e-Kareema 31 Times (Baar) Aayi hain?

  • Surat Ul Waqia
  • Surah Rahman
  • Surat Un Naba
104

Wo Kaunsa Aasan Amal hain Jisko Karne se Jannat ke 8 Darwaze khol diye jate hain Insan jis Darwaze se Chahe Dakhil Hojaye?

  • Miswaak Karna
  • Wazu Karna aur Wazu ke Baad ki Dua Padhna
  • Raste se Takleef deh Cheeze Hatana
82

Inmein se kaunse Azkar ko Kalma e Shukr kaha gaya hai?

  • SubhanAllah
  • Alhamdulillah
  • Huwallahu Ahad
133

Wo kya hain jo kuch log ussey durust karenge jaise teer ko durust kiya jata hain kuyke wo iski jaza duniya mein hi chahenge?

  • Namaz
  • Zikr
  • Aamal
100

Kaunsi Cheez Jannat me Jaane ki Zyada Wajah Banegi?

  • Raaste se Takleef deh cheez hatana
  • Nafil Roze Rakhna
  • Aulad ki Tarbiyat Karna
105

Wo Kaunsi Surah hain Jisko Sote Waqt Padhne se Insan Shirk Jaise Khatarnaak Fitne se Mehfooz Hojata Hain?

  • Surah Kafiroon
  • Surah Falaq
  • Surah Iqlaas
81

Inmein se wo kaun hai jisko Aadhi raat ibadat karne ka Sawab milta hai?

  • Raat ko 10 aayat padh kar sone wala
  • Miskeen ki madad karne wala
  • Raat ko Wuzu karke Sone wala
138

Wo Kounsa Amal hain jisko Dajjal se bhi Zyada Khatarnaak kaha gaya hain?

  • Maal hote huye bhi Zakat Na Dena
  • Amanat mein Khayanat Karna
  • Kisi ka Aib Zahir karna
96

Quran-e-Kareem ki Sab se Badi Aayat Kis Surah mein hain?

  • Surah Aal Imran
  • Surah Nisaa
  • Surah Younus
121

Qayamat ke Din Ganje Sanp ka Tauq kis Shakh ko Pehnaya Jayega ?

  • Jo Zameen Par Qabza Kare
  • Jo Zakat ada Na Kare
  • Jo Qarz Pura ada na kare
137

Inmein se Jannat ke beech ka darwaza kise kaha gaya hai?

  • Maa
  • Baap
  • Bada Bhai
90

Allah ki Raah se Rokne Wale ko Quran me kya kaha Gaya hai?

  • Nafarmaan
  • Gunehgaar
  • Qayamat ke din ka Munqeer
64

Quran-e-Majid ke mutabik Sabse bada Zulm kya hai?

  • Zinaa
  • Shirk
  • Chori
131

Wo Kounsa Amal hai jo darje mein Namaz Roze aur Zakat se bhi badhkar hain?

  • Nafeel Namazo ki Qasrat
  • Sadqa dena
  • Jhagadne walo mein sulah kara dena
86

Wo Kaunsi Khatoon Hain Jisko Allah Taala Ne Salaam Bheja Hain?

  • Hazrat Khadija (R.A)
  • Hazrat Ayesha (R.A)
  • Hazrat Sumaiyya (R.A)
124

Wo Kaunsi Do Namazein Hain Jo Munafiqo Par Zyada Bhaari Hain?

  • Fajr aur Zohar
  • Fajr aur Asr
  • Fajr aur Maghrib
121

Allah ne RasoolAllah (ﷺ) se Shab-e-Qadr ke Maloom hone ka Ilm kis Wajah se Utha liya?

  • Take Log Shabe Qadr Ko Talash Kare
  • 2 Musalmano ke Aapasi Jhagde ki Wajah Se
  • RasoolAllah (ﷺ) Khud Bhul Gaye
79

9 Zil Hajj ke Fazr se 13 Zil Hajj ki Asr tak ke arse ko kya hai?

  • Ayyam e Zil Hijjah
  • Ayyam e Beez
  • Ayyam e Tashreeq
125

Wo Kaunsi Neki Hain jo Insan ko Behayai aur Burai se Rokti hain?

  • Sila Rehmi
  • Namaz Aada Karna
  • Khairaat Karna
84

Ahle Jannat Ki Jannat Mein 120 Safein Hogi Unmein se Ummat e Mohammad (ﷺ) ki Kitni Safein Hogi?

  • 50 Safein
  • 40 Safein
  • 100 Safein
85

Har Ummat ki Aazmaish kisi Na Kisi Cheez Mein Hain,
Ummat e Mohammadiya (ﷺ) ki Aazmaish kis Cheez me hai?

  • Bimari
  • Maal
  • Ilm
136

Quran mein kis Cheez ki Misal dekar farmaya gaya ki Allah ke Siwa Jise bhi Pukara Jata hai wo KIS CHEEZ KE MALIK nahi hai?

  • Makkhi
  • Khajoor ki Ghutli ke Chilke
  • Zarraat

Quran ke mutabik In me se kis cheez ke bagair Aakhirat ki Kamiyabi mumkin nahi?

Quran ke mutabik In me se kis cheez ke bagair Aakhirat ki Kamiyabi mumkin nahi?
Sahih Jawab hai: option B). Iman aur Nek Amal

Quran ke mutabik Iman aur Nek Amal ke bagair kisi bhi bandey ke liye uski Aakhirat ki Kamiyabi mumkin nahi.

Daleel :

۞ Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai:

“Zamane ki Qasam ! Insan Dar-Haqikat Ghaate me hai, Siway Unn Logon ke jo Imaan laye aur Nek Amal karte rahe aur ek dusre ko Haq ki Naseehat aur Sabr ki talkin karte rahe.”

📕 Surah Asr: 103:1-3

is Surah me Allah Ta’ala apne bando ko jis baat par Nasihat kar raha hai wo ye ke Imaan aur Nek Amal dono hi aham hai un logo ke liye Jo Kamiyabi Chahte hai Aakhirat ke Aitbar se,. tou aayiye is post me Iman aur Amale Swalehat ka Zikr Karte hai.

✦ Iman aur Akida kaisa ho ?

Ab iman kaisa ho Allah Rabbul Izzat iske talluk se farmata hai ke:

“Agar ye log iman latey hai jaisa Nabi aur Sahaba iman laye, fir ye log hidayat par hai” (2:137)

is ayat ke pasemanzar me aata hai ke Allah Ta’ala un logo ke talluk se farma raha hai Jo Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke dour me Ahle Kitab, Mushrikane Makka Jo Allah par iman ka Dawa karte they lekin apni Manmani tarike se, tou Allah Ta’ala ne inke Iman ki Qabuliyat ke liye ek Usool Ata Kiya aur farmaya ke “Iman jab tumhe Lana hai to Jaisa Mere Nabi ke Sahabi Iman laye us tarha tum iman lao, tab mere nazdik tumhara iman Qabil-e-Qabool hai.”

Tou Iman lane Ka Usool Allah ne Wajeh Kar Diya ,. ke Iman Apni Manmani tarike se ya iske uske aur falah aur falah ke tarike par nahi lana, balki waisa hi lana hai Jaisa Sahaba laye,.. Lekin aaj agar dekha jaye to hum me se kayi Musalmano ka haal yahi hai ke ye log Imaan tou laye lekin aisa jiski koi Sharayi daleel nahi.

koi kehta hai Allah har jagah hai, Koi Kehta hai Allah aur bande me koi fark hi nahi, koi kehta hai Ibadat me is tarha mashgool ho jao ke tum Allah me sama jao aur Allah tum me sama jaye (Nazubillah) , tou koi ye Akida rakhta hai ke Allah apne nek bando ki marzi ka mohtaj hai, SubhanAllah!!! kis hadd tak ye log akide ki Gumrahiyo me mubtela hai aur fir Imanwale hone ke dawedar. MashaAllah !!!

Tou is haal me hum sabko , ek aam Musalman ko kya karna chahiye? Iman aur Sahi Akide ka Taruf Kaha se hasil kare? tou iska sidha sa usool hai ke “Allah ki kitab aur Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnat me hume apne tamam sawalo ke jawab talashne hai. aur Quran ha hukm bhi waisa samjhna hai jaisa Sahaba ne samjha? kyunki jin logo par Allah ki wahi nazil hua karti thi unse behtar uski tashreeh aur koi nahi kar sakta,..

✦ Amal-e-Saleh (Nek Amal)

Ab rahi Baat Amale Swalehat yaani Nek Amal ki tou Allah Ta’ala ne Quran ki Surah 2:25, 2:82, 4:57, 4:122, 4:124, 5:9 aur bhi Beshumar muqamat par Wajeh taur se farmaya aur kaha:

“Aur jo Iman laye aur Unhone Nek Amal Kiye Hai Wahi Log Jannati Hai ki Humesha Jannat me Rahenge”

Tou Maloom hua ke Iman Ke Baad Nek Amal Behad Jaruri hai Aakhirat ki Kamiyab ke liye. Ab Agar koi ye kahe ke hum tou khub Nek amal karte hai lekin Aqida durust na ho to kya hum bhi khassare me jayenge? tou yaad rakhiye Bilkul Ha! sirf Amal kafi nahi,. Kyunki Aakhirat ki kamiyabi ke liye Sahi Sabit Iman aur Amal-e-Saleh dono hi lazim hai, Lihaja Sahi Iman aur Uske Sath Nek Amal ye dono Aham hai, inme se ek ke bagair dusre ka tasawwur hi nahi.

Tou beharhal Aakhirat ki kamiyabi ke liye ek Aam Musalman ke liye kafi hai Allah ki Kitab Quran aur Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sirat(Sunnat) ka mutala kare aur uspar Amal kare, Fir Jitna Ho Sakey Nek Amal Karey  aur un Allah walo (Ulemaye Haq) se jhud jaye jo Ikhlas ke sath logo ko Allah ki hidayat ki taraf bulate ho,. yani jinke koi Hidden Agendas na ho ,.. Yahi Sarapa hidayat hai, Aur Baqoul Qurane Majid Yahi Log Kamiyab hone wale hai.

♥ In sha Allah Ul Azeez
– Allah Ta’ala hume Sahi Sabit Imaan wala banaye
– Humare Qurano Sunnat ka Muttabey Banaye,
– Hume Sahaba (R.A.) ke faham ke Mutabik is Deen par Amal ki Taufik Ata farmaye,
– Khub se khub Amale Salehat ki Taufik Ata farmaye,
– Jab tak hume Zinda rakhe Iman aur Islam par Zinda rakhe,
– Khatma Humara Iman par ho ,..
!!! wa akhiru dawana Alhamdulillahi rabbil alamin !!!

© Ummat-e-Nabi.com